x

Top 10 Most Popular Free Blogging Platforms 2023

Aap agar blogging ki duniya me naye hai aur agar aap apna blog banana chahte hai to aap ko suruat free blogging platform se karni chahiye. kyunki jab aap blogging start karte ho tab aapke pass kam experience hone ke karan bahot sari galtiyan hone ke chance bahot hai.

Isliye agar aap blogging sikhna chahte hai to aap in free blogging sites par apna blog start kar bahot kuch sikh sakte hai aur agar jake ek professional blog bana kar good earning kar sakte ho.

blogging platform, blogging in hindi, free blogging platform ki jankari hindi

In blogging platform ka sabse bada fayda ye hai ki ye free hai, isliye aapko hosting ke kharke ki chinta nahi rahti hai aur nahi blog par ane wali traffic ho kaise handle kare uski.


free blogging karte karke aapko blog ko promote kaise kare, blog ka search engine optimization kaise kare aur better content kaise write kare uski knowledge improve hoti hai.

Best Blogging Platform Ki Jankari Hindi Me

Main dekha hai ki kai naye bloggers aise hai jo successful bloggers ko dekh kar direct worpress pe hosting le ke se starting karte hai. aur kuch samay ke baad traffic na milne ke karan aur income na hone ke karan blogging chhod dete hai. ya phir blogger platform par blog ko tranfer kar dete hai.


Is baat me koi sak nahi hai ki wordpress sabse best blogging platform hai. lekin naye blogger ko ye baat pata honi chahiye ki kisi bhi naye blog ki income aur traffic increase hone me samay lagta hai. isliye agar aapke pass blogging ka jyada experience na ho aur aap paise kamane ke liye blog start karna chahte hai to blogger pe hi start kare.

1. Blogspot.com (Blogger)

Free blogging ke liye blogspot sabse best platform hai.blogspot bahut hi saral hai.blogspot google dwara sanchalit hai isliye aapko blog ki security aur traffic ki koi tenson lene ki jarooriat nahi hai.

blogger,blogspot,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Blogger - Free Blogging Platform
Jyadatar successful bloggers ne apne blogging ki suruat blogspot se hi ki hai. aur isse bahot kuch learn karke apne premium blog wordpress par banaye hai.

Agar aap google adsense ka use karke paise kamana chahte ho to blogger par aapko apne blog ko adsense se direct connect karne ki suvidha di jati hai. aur adsense ya kisi bhi anya ad network ke ads aap asani se laga sakte ho.

Features Of Blogspot :

1. Blogspot lifetime free blogging platform hai.
2. Aap apna own domain add kar ke brand bana sakte hai.
3. Adsense ke ads direct widget ki madad se add karke paise kama sakte hai.
4. Theme ko customize kar sakte hai or koi new theme bhi laga sakte hai.
5. Apne pure blog ka backup le sakte hai aur wordpress par import kar sakte hai.

यह भी पढे : Blogspot पर Free Blog कैसे बनाए - Step By Step Tutorial हिन्दी मे  

2. Wordpress.com 

wordpress,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Wordpress.com - Free Blogging Platform
Wordpress.com par aap free blog bana sakte hai.agar aap wordpress.org par blog banane ka plan kar rahe hai to aapko wordpress.com par thodi bahot practice kar leni chahiye.Aap apne wordpress.com blog par adsense ke ads laga kar paise bhi kama sakte ho.


Features Of Wordpress.com :

1. Wordpress.com full featured free blogging platform hai.
2. Apni manpasand themes laga sakte hai.
3. Bahot sare plugins mojud hai.
4. Apna own domain laga sakte hai.

3. Tumblr

tumblr,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Tumblr - Free Blogging Platform
Agar aap facebook ya twitter se bor ho gahe hai to Tumbler blogging platform cum social media platform hai. tumblr par aapko twitter aur wordpress jaisa fill milega.tumblr par lakhon naye blog roj bante hai. isliye tumblr ka network bahot bada hai. tumbler blog par aapko like post, comment , add favorites aur notes  jaise features milte hai. tumbler bahut hi saral hai.

Features Of Tumbler :

1. Tumbler ke App se aap kahi se bhi post kar sakte ho like facebook and twitter.
2. Bahot sari themes ki madad se aap apne tumblr blog ko good design kar sakte hai.
3. Photos aur GIF animation image ko support karta kai.
4. Kisi bhi link ya youtube repost karke embed kar sakte hai.
5. Visual blogger ke liye best platform hai.

यह भी पढे : Google Adsense से पैसे कैसे कमाए  ( Complete Instant Guide in Hindi )

4. Wix

wix,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Wix - Free Blogging Platform
Wix khas tor par website banane ke liye design kiya gaya hai par aap wix par naya blog bana sakte ho.wix ki main khubi ye hai ki wo desktop, tablet aur mobile device ke liye taiyar kiya gaya hai. Jisse aapko ko blog ko responsive banane ke liye time nahi bigadna padega. 

Features Of Wix :

1. Wix free website aur blogging platform hai.
2. Own domain add kar sakte hai par premium package ke sath.
3. Bahot sare plugins mojud hai.
4. Bahot sari responsive theme support.
5. Themes ko custom html se edit kar sakte ho.

यह भी पढे : 25 Best Online पैसे कमाने की Website List ( 100% Genuine ) 

5. Weebly

weebly,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Weebly - Free Blogging Platform
Weebly ek website banane ka tool hai jisme free blogging karne ke liye template uplabdh hai. Weebly par aap drag and drop ki madad se sarlta se website ko customise kar sakte hai aur new page create kar sakte hai.

Features Of Weebly :
1. Weebly saral free website maker hai.
2. Bahot sari free theme mojud hai.
3. Own domain add kar sakte hai.
4. free .weebly sub domain sath milta hai.
5. photos,videos ke liye free storage milta hai.

यह भी पढे : 24 Internet से Online पैसे कमाने के तरीके हिन्दी मे

6. Medium

Agar aap personal blogging aur micro blogging karna chahten hai to medium aapke liye ek best choice hai.

medium,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Medium - Free Blogging Platform
Medium twitter ke founder Evan Williams dwara banaya gaya ek online publishing platform hai. ispe aap sign up karke direct blogging start kar sakte ho. ye istemal karne me bahot saral hai.

यह भी पढे : Google Analytics क्या है - Google Analytics पर Account कैसे बनाए

7. Yola

Yola ek free website builder platfom hai. jahan par aap bahot asani se apna blog banakar use customize kar sakte hai. yola par bahot sare free template hai, jinki help se aap apne hisab se site ko design kar sakte ho.

yola,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Yola - Free Blogging Platform
Agar aap CSS aur HTML jante hai to isme aapko apne blog ko design karne ke bahot sare options diye jate hai. iske alawa blog ko setup karne ke liye aap drag and drop ka use kar sakte ho.

यह भी पढे : SEO Tools : Free And Paid Seo Tools Ki Complete List

8. Edublogs

Edublogs Wordpress dwara sanchalit ek free education blogging system hai. agar aap kisi school, collage ya university ke liye blogging system khoj rahe hai to ye aapke liye best option hai.

edublogs,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Edublogs - Free Blogging Platform
Edublogs par jab aap sign up karte hai to aapko 250+ premium themes aur 1 GB ka data storage free me milta hai. jisse aap asani se ek puri blogging system bana sakte ho.

Agar aap teacher ya tuter hai to aapko students ko add karna, blog ki privacy set karna jaise kai feature milte hai jo bahot helpful hai.

यह भी पढे : Internet से पैसे कैसे कमाए - घर बैठे पैसे कमाने के 5 सबसे आसान तरीके

9. HubPages

Hub pages bahot bada sites ka network hai, jo blogger ko apne article ko bahot badi community ke sath share karne ka option deta hai. agar aap affiliate marketing ke liye blogging karna chahte hai to ye aapke liye best rahega.

hubpages,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Hubpages - Free Blogging Platform
Iska ek aur fayda ye hai ki aap is par google adsense ya anya ki aur ad network ke ads laga kar ke earning kar sakte ho.

यह भी पढे : अपनी वेबसाइट बना कर पैसे कैसे कमाए

10. LiveJournal

Live Journal duniya ke blogger ka social network hai, jahan pe aap storys aur ideas share kar sakte ho. ye bahot purana blogging platform hai isliye ispe bahot badi community pahle se mojud hai.

livejournal,blogging platforms,bloggiing,free website maker
Live Journal - Free Blogging Platform

Agar aap ek community based blogging karna chahte hai to ye aapke liye best option hai. ispe aap pahle se mojud communities ko join karke ya apni community banakar blogging kar sakte ho.

यह भी पढे : Website की Traffic कैसे बढ़ाए - 11 सबसे आसान तरीके

Conclusion :

Agar aap earning karne ke liye free blogging platform khoj rahe hai to aap blogger par apna blog banaye. aur agar blogging sikhna chahte hai to aap sabhi platform ka use kar ke bahot kuch learn kar sakte ho.

Ab Aapki Bari :

Aapke Hisab Se In 10 Free Blogging Platforms Me Se Kaun Sa Sabse Best Hai ?

Please Comment..

Thanks for reading Top 10 Free Most Popular Blogging Platform Ki Jankari Hindi Me.agar ye post se aapko kuch madad mili ho to ise facebook aur twitter par avshya share kare.