x

Top 30+ SEO Tools की जानकारी हिन्दी मे 2023 ( Free & Paid )

Kisi bhi website ya blog ya youtube chanal ka agar ham proper seo karte hai, to ham bahot sara organic traffic increase kar sakte hai. jab ham seo ki process karte hai, tab seo tools ki jankari honi bahot jaroori hai.

seo tools, seo in hindi, seo tools complete list in hindi


Agar ham sahi seo tools ka use karte hai, to ham bahot sara time bacha sakte hai. is post me ham complete seo tool ke bare me detail me hindi me janenge. 



The Complete SEO Tools List in Hindi


1. SEMrush ( Free + Paid )


SEMrush ek complete SEO tool hai, jiske kuch features aap free me use kar sakte ho aur kuch paid hai. SEMrush tool ka use khas karke hamari website ke competitor’s ke top keyword find karne ke liye kiya jata hai. is tool pe aap bas apne competitor’s site ka url enter karoge to aapko uske main keyword ki list asani se mil jayegi.

Official Website : https://www.semrush.com/

2. Google Keyword Planner ( Free )


Google Keyword Planner google ka ek free tool hai, jise use karne ke liye aapko google adword par sign up karna hota hai. google keyword planner par aapko bahot sara data mil jata hai, aur use karne me bhi asan hai.



3. Google Analytics ( Free )


Google Analytics ek free website traffic ko analyzer tool hai. is tool ki help se aap apne website pe ane wali traffic ka bahot sara data prapt kar sakte hai. aapki site ke landing pages kon kon se hai, kon kon se keyword se jyada traffic aa rahi hai aur bounce rate kya hai etc.. 


4. BuzzSumo ( Free + Paid )


BuzzSumo ek most sharing content ko find karne ke liye best tool hai. is tool ki help se aap world me kya kya sabse jyada kya kya share ho raha hai aur apne niche ke hisab se most sharing content ko find kar sakte hai. agar aap apne competitor’s ki website me konsi post sabse jyada share hui hai uske bare me bas url se search kar ke find kar sakte ho.

Official Website : https://buzzsumo.com/

5. Google Search Console ( Free )


Google Search Console pe aapko bahot sare tool mil jayenge jo aapki website ki seo ranking improove karne me help karenge. jaise ki duplicate meta data, kitne page index hai, site pe kon kon se issues hai, kon kon si broken links hai aur search engine se aane wale traffic ki detail.


6. Ahrefs ( Paid )


Ahrefs tool aapki site ke competitor’s ki detail aur site ki backlinks ko analytics karne me aapki help karta hai. is tool ka use khas karke apne competitor’s website ke keywords aur backlinks kahan kahan se create ki ja sakti hai aur backlinks ki quality kaisi hai uske bare me pata karne ke liye kiya jata hai.

Official Website : https://ahrefs.com/

7. UberSuggest ( Free )


UberSuggest ek free seo tool hai, jispe aap google, youtube, shoping aur news jaise filter lagakar asani se keywords find kar sakte hai. is tool me aap specific country aur language bhi filter kar sakte ho. is tool ko aap google keyword planner ka upgraded verson kah sakte hai.


8. SpyFu ( Free + Paid )


Spyfu tool ka use aapke competitor’s ke keyword find karne ke liye aur keyword ki adword par ppc kya hai uske bare me pata karne ke liye kiya jata hai. is tool me aapko kuch keywords ke result free me show honge par jyada features use karne ke liye aapko pay karna hoga. ye tool aapko aapke keyword ke monthly search, cpc aur ranking difficulty jaisi detail deta hai.

Official Website : https://www.spyfu.com/

9. Keyworddit ( Free )


Keyworddit ek free seo tool hai, jo aapko reddit site upar search kiye jane wale keywords suggetst karta hai. isme bas aapko apne niche ke hisab se keyword type karke get keyword par click karna hota hai, aapke keyword ke liye reddit pe search kiye jane wale sabhi keywords ki list aapko display karega. aap is tool ka use karke apne niche ke liye new ideas find kar sakte hai.

Official Website : http://www.keyworddit.com/

10. SECockpit ( Paid )


SECockpit ek paid keyword reaserch tool hai, jiska use aap apne niche ke liye new keyword ideas find karne ke liye kar sakte hai. google keyword tool me hame sirf wo hi keyword milte hai jo log search karte hai, agar aap advance level ke keywords find karna chahte hai to aap is tool ka use kare.

Official Website : https://secockpit.com/

11. Seed Keywords ( Free )


Seed Keywords ek free keyword reaserch tool hai, jispe aap apne main keyword se related dusre seed keywords ko asani se find kar sakte ho. google keyword planner par jab ham keyword search karte hai tab hame us keyword ke hisab se result milte hai, lekin Seed Keyword aapko log search engine pe sachmuch kaise search karte hai, uske detail me keywords milenge.

Official Website : https://www.seedkeywords.com/

12. Wordstream's Free Keyword Tools ( Free + Paid )


Wordstream's Free Keyword Tool adword ke hisab se banaya gaya hai. is tool ki help se aap keyword ka google search volume free me jaan sakte ho, lekin agar aapko keyword ka competition, cpc aur opportunity score check karna ho to pay karna hoga. 

Wordstream's Free Keyword Tools me ek aur tool hai Keyword Niche Finder jispe aap topic ko type karke profitable niche find kar sakte hai.


13. WebCEO ( Paid )


WebCEO ek complete seo plateform hai, jispe aapko apni website ke liye keyword reaserch se lekar technical seo karne ke liye bahot sare tools mil jayenge. aap in tools ka use karke apni site ka seo rank better kar sakte ho.

Official Website : https://www.webceo.com/


14. Hreflang Tags Generator Tool ( Free )


Hreflang Tags Generator website ke liye href tag generat karne ka simple tool hai, jiski help se aap bas kuch step me href tag generat kar sakte hai. uske liye aapko site ka url, site ki language aur country ko select karke bas generat button par click karna hai.



15. Panguin Tool ( Free )


Agar aapki site google ke panda, panguin and kisi aur penelty se touch ho rahi hai aur traffic kam ho rahi hai, to panguin tool aapke liye bahot helpful hai.

Is tool ka use karne ke liye aapko panguin tool ko google analytics ke sath connect karna hoga uske baad jab bhi goolgle ka koi major update hoga tab is tool ki madad se aap site ki traffic pe hone wala asar jaan sakte hai.


16. Search Analytics for Sheets ( Free )


Jab ham search console me data dekhte hai tab ham 90 days se jyada ka data nahi dekh sakte hai. par agar aap is tool ka use karte hai to aap apne hisab se day ki range set karke data dekh sakte hai. Search Analytics for Sheets ek Google Sheet ka add-on hai jaise aap asani se add karke use kar sakte hai.

17. SEO & Website Analysis (WooRank) ( Free )


SEO & Website Analysis (WooRank) ek free chrome extension hai, jispe aapko apni website ke liye bahot sara technical data mil jayega. 

Ye tool website ko analyze karta hai, aur usko ek seo score deta hai aur website me technical seo se releted ko error ko display karta hai. iske alawa ye tool aapki site ka social media par kaisa asar hai uski report deta hai.


18. SEO Monitor ( Paid )


SEO Monitor website ke traffic ke data ko analyze karke seo performance kaise hai uske reports aapko pess karta hai.

Google Analysis me aap jab keywords ko dekhte hai tab aapko ek 'not provided' keywords ko find karne me dikkat hoti hai. is tool ki help se aapka ye problem solve ho jayega aur aap sare keywords ko dekh sakte hai. 

Official Website : https://seomonitor.com/

19. Seobility ( Free + Paid )


Seobility ek site auditor tool hai, jo aapki site kitni user friendly hai uska data pess karta hai.

Official Website : https://www.seobility.net/en/

20. Website Penalty Indicator ( Free )


Website Penalty Indicator tool ek google ke search algorithm updates ki dates par aapki site ko koi penelty to nahi mili uska data aapko deta hai.

21. Yoast SEO Plugin ( Free + Paid )


Yoast SEO Plugin ek wordpress plugin hai. is tool ki help se aap apne wordpress blog on page seo asani se kar sakte hai.

Is tool me bahot sare funcutins hai, jo aapke page ka perfect on page seo karne me help karte hai. keyword density, title, meta descripton, post ki length aur bhi bahot sare factor ko aap is tool ki help se proper kar sakte hai.


22. Agency Analytics ( Paid )


Agar aap ek digital agency chalate hai to, Agency Analytics tool aapke liye bahot helpful tool hai.

Ye tool aapke clients ko seo aur social media ko asani me samjne me madad karega. is tool ke sath aap google analytics, twitter, youtube etc.. ko integrates karke data prapt kar sakte ho.

Official Website : https://agencyanalytics.com/

23. WebCEO ( Paid )


WebCEO ek complete paid seo plateform hai, jispe bahot sare high quality seo tools mojuz hai.

Is tool ki help se aap website ka technical SEO,rank tracking aur mobile optimization jaise seo related report dekh sakte hai, aur uske hisab se apni site par changes karke apni site ki ranking imoroove kar sakte hai.

Official Website : https://www.webceo.com/

24. Structured Data Markup Helper ( Free )


Structured Data Markup Helper ek google search console ka sub tool hai. 

Agar aapki site par pahle se schema markup nahi hai to aap is tool ki help se asani se ye kaam kar sakte hai.


25.SEO Tools for Excel ( Free + Paid )


SEO tools for excel ek excel shit based seo tool hai. ye tool site ka data aapko excel data ke roop me pesh karta hai.

Is tool ki help se aap site ka bahot sara data bas ek click me hi prapt kar sakte hai, jaise ki title, meta tags, domain detail, page word count, link count, keyword density etc..

Is tool ko aap ahrefs or Majestic API ke sath connect karke site ki backlinks ka data asani se prapt kar sakte hai.

Official Website : http://seotoolsforexcel.com/

26. AuthoritySpy ( Paid )


AuthoritySpy aapke field me top influencers  ko find karne ke liye design kiya gaya hai.

Is tool ki help se aap twitter, facebook, google plus pe aapke field ke top followers rakhne walo ke bare me detail prapt kar sakte hai.

Official Website : https://authorityspy.com/

27. Buzzstream ( Paid )


Agar aap email send karke apni site ke liye backlinks banana chahte hai to ye tool aapke liye bahot helpfool hai.

Ye tool aapko websites ki email address and social media handle ko asani se find karne me help karega.

Official Website : https://buzzstream.com/

28. Check My Links ( Free )


Check My Links ek free chrome extension hai. ye ek simple link checker tool hai.

Ye tool aapki website ke page ki saari links ko analyze karta hai aur aapko valid aur invalid links ki reports deta hai. aap is tool ki help se asani se broken links ko find karke repair kar sakte hai.


29. Citation Labs' Broken Link Finder ( Paid )


Citation Labs' Broken Link Finder ek broken links finder tool hai. jise aap broken links ka search engine bhi kah sakte hai.

Is tool me aap jab keyword type karke search karte hai to aapko aisi sites ke bare detail milegi jahan par broken links hai. 

Official Website : http://brokenlinkbuilding.com/

30. Citation Labs' Link Prospector ( Paid )


Citation Labs' Link Prospector ek backlink banane ke liye sites ko find karne ka tool hai.

Is tool ki help se aap apni site ke liye kahan kahan backlinks banane ki opportunities hai use find karta hai. ye aapko resource pages, guest posts, blogs, news sites ki list deta hai jahan aap backlink bana sake.


31. Morningfame ( Paid )


Morningfame ek youtube seo tool hai. ye tool aapko aapke youtube channel ke liye actionable insights provide karta hai.

Ye tool aapko ye data deta hai ki konsa video jyada perform kar raha hai aur kon sa kam, jisse aap apne videos ka seo thik kar sake.

Official Website: https://morningfa.me/

32. Social Blade ( Free )


Social Blade ek youtube analytics tool hai. is tool se aap apne competitor’s ka bahot sara data asani se prapt kar sakte hai.

Is tool ki help se youtube channel ke daily aur monthly views, subscriber kaise increase ho rahe hai aur earnings ka andaza etc.. bate jaan sakte hai.

Official Website: https://socialblade.com/

33. TubeBuddy ( Free + Paid )


TubeBuddy tool ki madad se aap apne youtube channel ke bare me bahot kuch detail me jaan sakte hai.

Official Website: https://www.tubebuddy.com/

34. VidIQ ( Free + Paid )

  
VidIQ ek professional video SEO software suite hai. is me video ke liye keyword research, analytics, and video optimization karne ke tools mojuz hai.

Ye tool aapke video ke title, description and tags ke liye bahetrin keyword suggestions deta hai.



Official Website: https://www.vidiq.com
SEO Tools : Free And Paid Seo Tools Ki Complete List is SEO Guide in Hindi article ko pura padhne ke liye aapka dhanyawad. blogging aur seo se related quistion aap niche comment section me puch sakte hai.

Agar ye post aapko helpful lage to ise share karke dusro ki help kare.