x

17 Super Fast Adsense Approval Tips 2023 For New Website India [ 100% Working ]



India me google adsense online paisa kamane ka sabse best tarika hai, ye to sab jaante hai. Lekin sabhi log jante hai ki adsense ka account approve karna bahut hi hard hai. lagbhag sabhi blogger ki application ek ya do bar to reject hui hogi. meri khud ki application bhi tisri bar approve hui thi.is post me jante hai ki google adsense account approved kaise kare.
Agar aap ki bhi application reject hui hai to aapke man ke ye question jaroor aate honge :

1. kyun mera adsense application reject ho gaya ?



2. Mere blog par bahot sari post hai phir bhi kyun approve nahi ho raha ?

3. Mere blog par bahot sari traffic hai to phir kyun meri application reject ho gai ?

4. Dusri bar kaise aur kab adsense par apply karu ?

5. Meri google adsense application reject hona ka reason kya hai ?

Is post ko puri padhne ke baad aapko aapke sare question ka answer mil jayega.

Must Read : AdSense Low CPC Ke Top Reasons And Solutions 


Sabse pahle jante hai ki google adsense par apply karne ke basic requirement :

Basic Requirement For Apply Google Adsense

1. Apki age 18+ honi chahiye.

2. Blog ya Youtube Channal Hona Chahiye.

3. Aapke Blog Par Usefull Content Hona Chahiye.

Adsense account approve na hone ke bahut sare reasons hote hai. to sabse pahle application reject hone ke main aur common reason ke bare me jante hai.

Adsense Application Reject Hone Ke Some Common Reasons

1. Blog Aur Website Ke Domain Ki Age :


Adsense application reject hone ka sabse bada reason hai new domain. kai blogger ye mistake karte hai. new domain lene ke baad turant apply kar dete hai. blogspot par blog banane wale bhi ye mistake karte hai.

2. Unsupported Language Blog :

India me kai blogger ye mistake jaroor karte hai. wo aise blog ko adsense ke liye apply karte hai jo adsense ke supported language me nahi hota hai. so, agar aap bhi is mistake bachna chahte hai to check kare ki aapka blog support karta hai ki nahi.

3. Blog Ki Bad Design :

Blog ki design agar bad hai to bhi adsense application reject ho sakti hai. ye ek common mistake hai jo har new blogger karta hai. blog ke template ki design simple aur clean honi chahiye.

Must Read : Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye Step By Step Guide

4. Blog Ka Template Responsible Na Hona :  

Google Adsense responsible templete ko sabse jyada pasand karta hai. agar blog ka templete responsible na ho to application reject ho sakti hai.

5. Copyrighted Content And Images :

Blog ya website par agar aap ne content or images kahi aur se la ke post ki hui hai to adsense application reject ho jati hai.

6. Blog Par Post Kam Hona :

Agar aapke blog par kam blog post hai to aapki application 100% reject ho jayegi. Adsense par apply karne se pehle kam se kam se kam 10 post to honi hi chahiye.

7. Site Par Important Pages Ka Na Hona :

Blog ya website par agar some common important na ho to application reject ho jati hai. example ke tor pe about us page, contact us page and privacy policy page.

8. Google Adsense Policies Se Match Na Hona :

9. Reject Hue Email Address Se Dubara Apply Karna :

Agar aapne kuch samay pahle adsense ke liye apply kiya hai or aapka application reject hua hai to aap agar us email adress se phir se apply karte hai to aapki application reject hone ke chance badh jate hai. So agar dusri bar apply kare to new email id ka use kare.

So, Sabse pahle aapko adsense pe apply karne se pahle upar diye gaye common mistakes ko avoid karke aap hamare niche diye gaye step ko follow karenge to aapka applicton fast approve ho jayega.

Fast Adsense Account Approval Tips In Hindi - Adsense Account Approve Kaise Kare

1. Create High Quality Content 

Google Adsense par apply karne se pehle is baat ka dhyan de ke apne blog par high quality content hai. Sabse pahle kuch high quality post likhe, kyunki google adsense ki application humans ke dwara check ki jati hai. so agar aapki post ka content user ke liye useless hai to uska koi matlab nahi hai. 

High Quality Post Kaisi Honi Chahiye :


Post unique and original honi chahiye.

Post kamse kam se kam 300 word ki honi chahiye.

Post ka title behtarin hona chahiye.

grammar aur spelling mistake nahi honi chahiye.

post user ke liye usefull honi chahiye.

post me high quility keywords ka use kare.

2. Use Old Custom Domain Name

New domain ke sath apply ki gayi application ke reject hone ke sabse jyada chance hai. aap aisa domain name use kare jo kam se kam 45 day purana ho. agar aap blogspot par blogging karte hai or aapne domain name nahi kharida hai to aapko blog start karne ke 6 month baad apply karna chahiye.

3. Use Responsible Blog Design

Aaj ke din internet ka use jyadatar log mobile par hi karte hai. so agar aapke blog ka design responsible nahi hai to wo mobile device par sahi tarike se display nahi hoga. google adsense par apply karne se pahle apne blog par clean and simple responsive template jaroor lagaye. Jisse approve hone ke change bahot badh jate hai. 

4. Remove Unused Widgets 

Blog par jyada widgets ya plugins ke use karne se website ki speed kam ho jati hai. kuch samay se google adsense approval process me web site ki speed ka bhi bahot important mana jata hai.

5. Get High Quality Traffic

Blog ke content ko seo friendly bana kar high quality traffic pane ki koshish kare. Galat tarike se illegal traffic ko adsense reject kar deta hai. hamesa good content likhen jisse aapko organic and social networks se visitor mile. 

Must Read : Online Business Start Karne Ke Top 10 Idea

6. Remove Other Ad Networks Ads 

New blogger jab adsense approve nahi hota tab dusre ad network join kar lete hai. Lekin jab wo kuch khas earn nahi kar pate tab wo adsense pe try karna shuru kar dete hai. so, agar app bhi unme se ek hai to aapko sabse pahle dusre ad networks ke ads apne blog par se hata de.

7. Add Your Blog With Google Analytics And Search Console

Agar aapka blog ya website google analytics se connect hai to aapko pata chalta hai ki aapke blog par aane wali traffic kis type ki hai. Google search console par website ko ad karne se aapko aapke blog ki broken links, server error aur organic traffic ke bare me sari jankari prapt hoti hai. so, adsense par aproove pane ke liye ye tips aapke liye bahot useful sabit hogi.

8. Remove Copyrighted Materials ( Content And Images )

Google adsense ki policy ke mutabit aap apne blog par copyrighted content and image ko use karna illegal hai. so, agar aap ki site par ko copyrighted material hai to turant use delele kar de. jisse aasani se adsense approve ho jaye.

9. Remove Duplicate Content 

Duplicate content ka use karna aapke blog par seo traffic kam ho jati hai, ye baat to sab jaanti hai. Adsense ki policy duplicate content ke khilaf hai. so, delete duplicate content.

10. Use Genuine Email Address And Name 

Adsense par apply aap aisi email id se kare jisme aap ka name ho. agar aap gmail se apply karte hai to aap About Me Google par apna pura profile create kare. Jisse jab aapki application check to tab aapke bare me approve karne wali team ko pata chale.

11. Create Important Pages 

Blog par about us, contact us and privacy policy page ko add kare. kuch samay se ye pages bahot important hai adsense approval ke liye. in me se sabse jyada important page hai privacy policy page. privacy policy page aisa create kare jisme google adsense ke ads lagene ki permission ho. Adsense ke liye privacy policy page create karne ke liye aap google par search kare - ' Privacy Policy Page Generator With Google Adsense '.

12. Your Age Must 18+

Adsense par apply karne ke liye kam se kam age limit 18 year ki hai. 

13. Write 10+ Great Post

Kai log puchte hai ki google adsense par approve parne ke liye mere blog par kitni minimum post honi chahiye. answer is 10. kam se kam 10 post na hoto to 100% aapki application reject ho jayegi. agar jaldi se approve pana hai to aap 25 post ke sath hi apply kare.

14. Check Your Blog With Google Adsense Policies 

Ye bahot important step hai ki aapki site google adsense ki polices se match hoti hai ya nahi. to sabse pahle use dhyan padh le aur fir apply kare.

15. Add Social Network Link With Your Blog  

Jaise blog ki search ranking me social proof ka importants hai, waise hi adsense par approve pane ke liye aapke social network page par jitne jyada likes aur share ka hona aapke blog ko approve karne me bahot help karta hai. ye maine khud test karke dekh liya hai. social network par aapke blog ka jitna engagement hoga utna hi aap ke blog ko jyada genuine mana jayega.

16. Check Your Blog Language Is Supported By Google Adsense 

Sabse pahle ye check kare ki aapka blog kis bhasha me hai ?  kyunki kai blogger apni local bhasha me blog create karte hai aur adsenes par apply karte hai. adsense par apply karne se pahle ye jaan lena bahut important hai ki adsense aapke blog ki language ko support karta hai ya nahi.

17. Remove Illegal Content 

Adsense ke rules niche diye kuch ilegal content ko support nahi karte hai.   


Ashlil Materials ( Adult Content  Or  Pornography)

Chori Kiya Gaya Material ( Like : Pirated Moves, Music etc.)

Hacking ya cracking se jude tutorials

Illegal Drugs/Paraphernalia

Hathiyar ka violance se judi jankari
So, Agar aapke blog par bhi koi aisa content ho use remove karne ke baad hi apply kare.

Must Read : Online Business Start Kaise Kare Step By Step Guide In Hindi

17 Fast Adsense Application Approval Tips Hindi  [ 100% Working ] is article ko pura padhne ke liye aapka dhanyawad. upar di gayi jankari agar aapko useful lagi ho to use aap apne friends ke sath jaroor share kare. agar aapke pass bhi koi sujav ya question hai to aap niche comment box jaroor share kare. aur agar aap koi online paisa kamane me aur blogging ke bare kuch naya hindi me sikhna chahte hai to aap hamare blog ko subscribe kare. Thank you.