x

घर बैठे ऑनलाइन बिज़नस कैसे स्टार्ट करे पूरी जानकारी हिन्दी मे

online business kaise start kare, apna online business kaise kare, how to start online business in hindi



Apna Online Business Kaise Start Kare : Daily kisi company me 9 to 5 pm ki job jo log karna pasand nahi karte aur jin logo ke pass jyada paisa nahi hai apne business me invest karne ke liye, unhe bus small investment karke apna small online business start karna chahiye. is post me hum janenge ki kam inversement se online business kaise start kare aur uski planning kaise kare. 

India me jis tarah se internet users din prati din badh rahe hai us hisab se aane wale samay online selling bahot jyada badhne wala hai. to chaliye start karte hai ki online business kaise start karte hai aur use kaise successful banakar paise kama sakte hai.

How Start Online Business ? Step By Step Guide in Hindi.

Step 1 : Market Select Karo 

Log aksar online business start karne se pahle product select karte hai, jo ki sahi nahi hai. aap jis bhi product ko sell karna chahte ho sabse pahle aapko uska market pata hona chahiye. 


Market research me aapko ye pata karna padega ki aapke product ka market kitna bada hai, kya wo product online sell ho sakta hai, aapke competitor kitne hai aur product se kya realy aap profit bana sakte ho.

Must Read : Online Business Start Karne Ke Top 10 Idea

Step 2 : Online Business Ki Planning Karo

Koi bhi business start karne se pahle planning karna bahut jaroori hai, usi tarah se online business start karne se pahle bhi aapko plan banana padega. online business plan karne ke liye aapko ek user ki tarah sochna padega.

Sabse pahle to apne aap se yeh question karna hoga ki log aap ka product hi kyun kharide. online business karne ke liye aap ko ye pata hona chahiye ki log kis tarah se aapke product ya service tak pahuchane.

Log jab bhi koi product ya service online buy karna chahte hai to sabse pahle wo google pe search karte hai. to aapko ye pata hona chahiye ki aap jo bhi product ya service dena chahte hai uske liye monthly kitne log google pe search karte hai.


Kyon Ki tabhi to aapko apne product ki online value ka pata chalega. log jab bhi kuch search karte hai to wo keyword ban jata hai. jise google store kar leta hai.


An aapko agar pata karna hai ki aapke product ya service ke related kon kon se keyword hai aur unke kitne monthly search milte hai. to aapko sabse pahle keyword research karna padega.


Keyword research karne ke liye bahot sare paid aur free tools online mozood hai. par agar aap free me keyword research karna chahte hai to google keyword planner aapke liye sabse best rahega.


Google keyword planner aapko keyword kitna monthly search kiya jata hai, uske related kon kon se keyword hai, us keyword ka competition kitna hai aur bhi bahut kuch batata hai.


Keyword research ke siva aapko social media par bhi aap jo product ya service start karna chahte hai uske bare me bahot kuch  jaan sakte hai.




Must Read : Internet से पैसे कैसे कमाए - Top 24 तरीके in Hindi

Step 3 : Register Domain And Start A Blog

Online business start karna ha to aapki website to honi hi chahiye. website banane ke liye online bahot sari free service mojood hai.

Lekin agar aapko ek serious online business start karna hai to sabse pahle to sabse pahle domain name register karna hi padega. kyunki jo free me website banane dete hai wo aapko domain name nahi dete wo aapko ek subdomain dete hai.


Google pe ranking pane ke liye aapka domain name product ya service se related hona chahiye ya sabse unique hona chahiye. domain name agar business se related hota hai to search engine use jaldi top rank dete hai. 


Domain name register karne ke baad aapko apni website banani padegi. aap web hosting buy karke apne hisab se website crete kar sakte hai. agar aap khud website nahi bana sakte hai to aap kisi proffesional ko hire karke apni website banaye.


Website ko banane ke baad aapko apne product ya service se related blog banana padega. kyunki search engine ek static website se jyada ek blog ko jyada pasand karta hai. aap wordpress ya blogspot pe apna blog bana sakte hai.


Step 4 : Website Ka Setup Aur Design Complete Karen.

Website ka design aapke online business par bahot effect karta hai. log agar website design professional na ho to us website ko 5 second me chhod dete hai.

Online business ke liye website ka design simple, clear and eye catching hona chahiye. website jyada colorful nahi honi chahiye.

Website ka home page ek dum professional tarike se design hona chahiye. home page par perfect navigation, aapke business ke bare detail, ek video and kuch eye catching images hona bahot jaroori hai.


Website ya blog me apne sare social network account ko connect kare. logo ke aapke product ke bare me vichar unke photo ke sath lagane se product ki value badhti hai.


Must Read : Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye Step By Step Guide

Step 5 : Product Ke Bare Me 10-20 Post Likhe

Website puri tarah se set karne ke baad aapko apne product aur service se related jo aapne keyword research kiya hai, uske hisab se kamse kam 10 post to likhne important hai.

Blog post me how to article, top ten lists, reviews and product ke bare me tutorials likhe. blog aapko search engine me ranking dilane me bahot help karega.

Step 6 : Website Ko Search Engine Pe Submit Kare.

Jab aap completely apni website ko setup kar le aur aap confident ho ki aap ab ready hai, tab aap apni website sabhi search engine pe submit karde.

Apni website le liye site map create kare. aur use search engine pe submit kare.

Iske siva aap apne business ko google business pe bhi register kare. 


Must Read : WhatsApp Se Paise Kaise Kamaye - Best Ultimate Idea

Step 7 : Logo Ko Apne Product Aur Uske Fayde Ke Bare Me Batayen.

Search engine pe blog ya website ko aane me time lagta hai. kitne time me aapki site top rank pe aayegi iska kisi ko pata nahi hai.

So aap search engine se traffic ke bharose to nahi baith sakte hai. so aapko apne product ke bare me online aur offline logo ko batana padega.

Suruat aap apne dosto aur relative se kare. uske baad aap social network aapke product ke targeted logo product ke bare me samjayen.

Step 8 : Youtube Channel Bana Kar Video Post Kare.

Log aajkal padhna kam hi pasand karte hai. so agar aap apne business ko jaldi se promote karna chahte hai to youtube aapke liye sabse bada game changer ho sakta hai.

Youtube pe product se related video upload karen. agar aap khud video nahi bana sakte to kisi studio wale ki madad le. kyunki video banana uske baad uski editing karna ye sab kaam koi professional kare to behtar result mil sakta hai.

Videos ka title seo friendly rakhe aur discription me keyword ka use kare. jisse aapko jyada views mil sake.


Iske siva aap apne product se related videos pe comment me apni link share kare.

Step 9 : Social Network Pe Product Ko Promote Kare.

Social network aapke online business ko grow karne me bahot help kar sakta hai. aajkal sayad hi aisa koi hoga jo facebook ya whatsapp nahi use karta hoga.

Facebook aapko apne business ke liye free me page banane ki service deta hai. to sabse pahle to ek page crate kare.

Facebook page par aap interesting images aur videos post kare jisse jyada likes aur share mil sakte.


Uske baad apne product ya service se related jitne bhi facebook group hai sab join kar le. kyunki un groups me aapko aapka targeted audience direct mil jata hai.

Step 10 : Apke Product Ko Use Karne Walo Ka Testimonials Website Pe Post Kare.

Jo log aap ka product use karte hai unka testimonials lena mat bhule. kyunki log testimonials logo ko sabse jyada prabhavit karta hai.

Good testimonials aapke online business ko grow karne me aapki sabse jyada help karega.

Step 11 : Offer Deke Email List Banaye.

Apke blog ya website pe koi offer post kare. offer pane ke liye aap logo se subscribe karne ke liye bole.

Jitne log aapki website pe subscribe karte hai wo aapke direct customer ban sakte hai. 

Step 12 : Email Marketing Use Karke Product Ko Sell Kare.

Email list banane ke baad aap apne subscribers ko email marketing ki help se product sell kar sakte hai. 

Sabse pahle to subscribers ko kuch useful information email ke dwara send kare. jisse logo ka aap pe trust badhega.


Ekbar log aap pe trust karne lage uske baad aap apne product ka promotion direct kare.

Must Read : 17 Fast Adsense Application Approval Tips India  [ 100% Working ]

Online Business Start Kaise Kare Step By Step Guide In Hindi is post ko pura dhyan se padhne ke liye aapka dhanyawad. online marketing, blogging aur seo ke bare me latest jankari apne inbox me pane ke liye hamare blog ko subscribe kare.


Agar ye post aapko useful lage to ise share karna na bhule.