x

Top 10 Online Business Ideas in India 2023 Without Investment in Hindi

Make Money Online, Online Business Ideas in Hindi, Online Startup Idea India in Hindi,





Kya aap beginner level se apne ghar se internet business start karna chahte hai aur paisa kamana chahte hai ? yadi aapki han hai to, is post me diye gaye online business ideas in hindi aapko without investment ya thode se inversment ke sath start karne me help karenge.   



Jab se internet ka aavishkar hua hai tab se hard work karke aur bus thoda paisa lagakar apna online business start karke hai entrepreneurs ne bahut sara paisa kamaya hai. 

Agar aap low start-up capital me online business start karna chahte hai to niche diye gaye options aapki help karenge.

Must Read : Online Business Start Kaise Kare Step By Step Guide In Hindi

10 Best New Online Business ( Startup ) Ideas in India without Investment in Hindi

1. Online Tutoring


Yadi aap ek teacher hai ya aap teaching dena pasand karte hai, to aapke liye online tutoring ek achha option hai. is business ka fayda ye hai ki aapko iske liye paise nahi dene padte, nahi aapko marketing ke liye paisa chukana padta hai aur aapko kisi classroom ki bhi jaroorat nahi hai.


Online bahut sari website hai, jaise ki Tutor.com  jahan par aap join  karke aapke favorite subject ko padha sakte hai. kuch websites par qualification and experience prapt karne ki avashyakta padti hai. 

Yadi aapke pass thoda bahot paisa aur marketing skill hai to aap khudki teaching website start kar sakte hai aur uski marketing kar sakte hai. apni website se aap dusri websites se jyada paisa bana sakte hai isme koi sak nahi hai par isme thoda risk hai.

2. Business Consultant



Business consulting company chalana un logo ke liye best option hai jinhone pahle kisi business ko build karne ke field me kaam kiya hai. 

Agar aapne alag alag start-ups ke sath kam karke se experience hasil kiya hai ya kisi corporate vatavaran me rahakar aapne business management ke rahsyo ko sikha hai, to aap anya entrepreneurs ki business planning aur banking ya anya corporate ke sath talmel bithane se  unke business ko grow karne me help kar sakte hai. 

3. Online Shopping Sites Pe Product Bechkar


Yadi aap ek saral online business ki talaash kar rahe hain to online selling se behtar kuchh bhi nahin hai

Aap Flipkart, Amazon, eBay, AliExpress or other shopping site sites pe as a seller sign up karke kai tarah ke product sell karke paisa kama sakte hai.


Yadi aapke pass apna koi product bechne ke liye nahi hai to koi problem nahi hai kyunki yahan par bahot saare aise seller hai jinke pass apna koi product bechne ke liye nahi hai.

Kai log local market se saste rate par product ko kharid kar online sites par high price par sell karne ke liye rakhte hai. to aap bhi ye kaam karke kisi bhi sites par apna product bech sakte hai.

4. Affiliate Marketing


Affiliate marketing ek aur popular online business hai, jise aap start karke paisa kama sakte ho. yahan aapko company me as a affiliate sign up karna hota hai aur uske product ko promote karna hota hai.

Affiliate marketing se bahut sara paisa kama sakte hai lekin ye koi aasan kam nahi hai.

Esi kai affiliate marketing companies hai, jaise ki Amazon, Flipkart, Clickbank, Commission Junction & many others jisko join kar sakte hai aur promote kar sakte hai.

5. Forex Trading


Yadi aapko bazar ki great understanding hai to is baat me koi sak nahi hai ki forex trading se badh kar koi hot business hai. Log daily videshi mudra vyapaar yani forex trading se lakhon dollar kamate hai.

Lekin agar aapke proper idea nahi hai to isme aap ko paise khone ka bhi bahut bada risk hai. bas yahi karan hai ki sabhi logo ko yeh business nahi karna chahiye.

Yadi aap ye online business start karna chahte hai to sabse pahle to aapko ise completely  sikhna hoga aur aatmavishvaas  se thoda thoda nivesh karna hoga.

Forex Crunch jaise kai websites hai jo aapko is vishay me great tips and market ke daily insights provide karti hai. aisi websites ko daily check karne se aapka knowledge badhega.

6. Membership Site Banakar



Membership site banana behad lucrative home based online business model hai jahan aap apne ghar par hi apna office banakar business chala sakte hai.

Site banane ke baad aapko ye decide karna hai ki aap kon kon se products, services or contents ko apni site par sell karna chahte hai.

Apni site par free aur paid membership dono service start kar sakte hai. jisme aap free membor ko limited access aur paid membor ko full acess de sakte hai.

Is business ko start liye aapko sirf ek domain name aur dusra web hosting buy karni hogi, jo ki ek bahot chhota inversment hai.

7. Startup


Start-up ke liye isse behtar koi samay nahi hai. aap india me daily dozens of start-ups find kar sakte hai.

Agar aapke pass koi great idea hai aur aap usse apni company start karna chahte hai to aaj ke time me ye bahot aasan hai, kyun ki venture capital firms se aapko apne start-up ke liye fund mil sakta hai.

8. Virtual Assistant


Virtual assistant sabse best online business ideas me se ek hai, aur women's ke bich ye bahut populer hai. isme work ek personal assistant ki tarah karna padta hai, lekin is mamle me aapko apne client ki sahayta ke liye physically present rahne ki jaroorat nahi hai.

Aap apne skills ke sath logo ki madad kar sakte hai aur unke instructions ke anusar apna kaam kar sakte hai. People Per Hour, Elance, Fiverr etc. jaisi sites aapko is tarah ke business find karne help kargi.

9. Sell Photos Online


Kya aap ek excellent photographer hai ? to aapke pass online photos sell karke paisa kamane ka ek bahut bada chance hai.

Online bahut sari sites hai jo aapko photo upload karne ki aur per download paisa karne ka mauka deti hai.

10. Manage Social Media Profiles


Kya aap jante hai ki hazaron high profile people, small or medium business hai, jinhe aise logo ki jaroorat padi hai jo unke social profiles ko sahi tarike se handle kar sake.

Apko unke Twitter or Facebook account manage karne honge aur daily updates karna padta hai. un profiles par followers aur engagement ko badhana aapki responsibility hai.

Aap ek account ko manage karne par 10000 se 50000 tak kama sakte hai, par iske liye aapko digital marketing skill bahut achchhi honi jaroori hai.
  
Online Business Start Karne Ke Top 10 Idea In Hindi is post pura padhne ke liye aapka thank you ! 

Agar aapke pass bhi koi great idea hai to use comment box me share karen.