x

Google Adsense की CPC कैसे बढ़ाए - 7 आसान तरीके 2023

google adsense ki cpc kaise badhye, how to increase adsense cpc in hindi


How to increase adsense cpc rate in india : India me jyadatar hindi blogger adsense low cpc ( cos per click ) ki wajah se blog par jyada traffic hone ke bawjood jyada nahi kama pa rahe hai. kai log is low cpc ki pareshani ke karan dusre ad network ke ads lagate hai. lekin usse bhi koi fayda nahi hota hai, balki usse wo adsense se bhi kam kama pate hai.

to is post me hum low cpc ke main reasons aur unko solve karke google adsense ki cpc kaise badhaye uske bareme janenge.

Adsense CPC Kya Hai ?


CPC english word cost per click ka short form hai. cpc ka matlab hai adsense aapko ek ad par kitna pay karta hai. cpc $0.01 se $250 tak ho sakti hai. matlab ek click ka 1Rs. se 15,000 tak mil sakta hai.



Must Read : 17 Fast Adsense Application Approval Tips India  [ 100% Working ]

India traffic se cpc $0.02 se $1 tak hi mil pati hai. cpc ke bare me jyada jaane se pehle ye jante hai ki adsense cpc kaise tay karta hai.

Adsense CPC Kaise Tay Karta Hai ?


Agar aap google keyword planner ya semrush jaise tools ke bare me jante honge to aap ko cpc ke rate ke bare me pata hoga. adsense google ki ek ad service adword pe work karti hai. 

Adsense ki cpc keyword ke adhar par tay hoti hai. kuch keyword ki cpc low aur kuch ki high hoti hai.

Adsense का CPC Rate कैसे बढाये 


1. Low Paid Niche Blog


Low paid niche par blog banana low cpc ka main reason hai. kyunki kuch aise niche hai jin par koi product sell nahi kar sakte, jaise ki joke, shayari and story. aise blog par adsense high paying ads show nahi karta. aise blog par traffic milna bahot asan hai, par adsense se paise kamana bahot muskil hai.


Must Read : Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye Step By Step Guide

Solution :

Agar aap bhi pass aisa koi blog hai to uspe jyada work karne ka koi matlab nahi hi.


Apko kisi aise niche par new blog start karna chahiye jispe cpc high ho.

2. Keyword Research Ke Bina Post Karna


Ye mistake lagbhag sabhi blogger karte hai. kai log to keyword research ke bare me jante bhi nahi hai.

bas kisi bhi topic pe post karte rahte hai. agar aapke pass high paying niche hai aur aapne keyword research nahi kiya to bhi app low cpc ads hi pate hai.

Solution :


New post karne se pahele keyword research kare. keyword research karne se aapko jis keyword pe likh rahe hai uske bare me sab pata chal jayega.

Seo ke liye keyword research bahot important hai. usse aapko ye pata chalega ki aapke keyword ko monthly kitne search milte hai.

Must Read : Online Business Start Kaise Kare Step By Step Guide In Hindi

Keyword research ki suruat aap google ke free keyword planner se kar sakte ho. wo bilkul asaan hai.

Agar aap advance level par keyword research karna chahte hai to aap semrush ka use kar sakte hai. semrush ek paid service hai, lekin aap 14 din ke liye free trial use kar sakte hai.

3. Jarurat Se Jyada Ads Post Karke 


AdSense account approve hone ke baad har new blogger ye mistake jaroor karta hai. wo apne blog par bahot jyada ad code paste kar deta hai. jisse ek to site ki speed kam hoti hai aur aapke visitor site ko dekhna jyada pasand nahi karte.

Site ki speed kam hone se organic traffic pe bahot bada fark padta hai. aur cpc bhi kam milti hai.

Solution :


Apni site par kam se kam ad hi post kare. aap 3 link ad jaroor kare. kyunki ek to wo load fast ho jate hai. aur maine dekha hai ki bade ads aur link ads ki cpc me jyada antar nahi hota hai.

Apne blog par 3 se adhik benner ad post mat kare.

4. Galat Ad Placement 


Blog par ad kahan par hai is baat ka cpc par bahot bada asar padta hai. agar aapne galat jagah par ads post kar diye hai to cpc jyada nahi mil pati hai.

Jaise ki aapne ads ko footer me dala hai to uska koi matlab nahi hai. 


Solution :



Ad Placement me sabse main factor hai ki sabhi ad network high paying ads ko blog top par jyada mahatva deta hai. to agar aapne top par ads nahi lagai to aapko low paying cpc hi mil sakta hai.

Blog par ads post karne se pahele 3 chijo ko check kare.


First ye check kare jahan aap ad dalna chahte hai wo place adsense ki policy ke viprit to nahi hai. adsense ki policy ke mutabit aap kuch jagah par ads nahi post kar sakte ho. jaise ki navigation menu ke sath, image ya videos ke sath aur mobile me fold ke upar bada benner nahi laga sakte ho.

Second apne blog par ye check kare ki kis jagah par ads post karne se jyada click mil sakte hai. jitne jyada click utni jyada kamai. example ke tor pe blog ke main title aur navigation menu se niche, blog post ke title ke niche aur post ke first paragraph ke bad.

Third ye tay kare ki jab koi visitor aapke blog par post padhta hai tab kis jagah pe jyada rukta hai. kyunki adsense do tipes ke ads deta hai. ek cpc based aur dusra cpm based. jaydatar visitor aapke blog par first ke teen paragraph padhta hai to aap post ke right ya left slider me 320 X 600 ya 320 X 1050 ek widget ke niche lagakar good cpm pa sakte ho. 

Must Read : WhatsApp Se Paise Kaise Kamaye - Best Ultimate Idea

5. Sirf Text Based Ads Hi Enable Karna 


Text based ads se image based ads ki cpc jyada hoti hai. so agar aapne sirf text based ads hi post kiye hai to cpc kam ho sakti hai.

Solution :


Apne sabhi ads ki setting me jakar image aur text based dono enable kar de. cpc me jyada to nahi par thoda fark to aayega hi.

6. Sabhi Ads Categories Ka Enable Hona


Agar aapko adsense par ek month ya jyada samay hoga to aapko adsense me block ads section me categories section me ye dekhne ko milega ki konsi categories se jayada kamai ho rahi aur kon si se kam.

Is section me aapko dekhne ko milega ki kai aise categories hai jo aapko kam pay karti hai.

Solution :



Adsense me jin jin categories se kamai nahi ho rahi usko block karde. cpc increase hone me ye trick jaroor help karegi.

7. Low Paying Url Ko Disable Na Karna 


Kai aise ad network hai jo bahot kam pay karte hai. agar aap google pe search karoge to aapko bahot aisi site milegi jo kam pay karti hai.

Solution :


Low paying sites ki list banakar use block karde. aap chrome ke google publisher toolbar se bhi aisi sites ka pata laga kar block kar sakte ho.

Upar diye gaye reasons aur solutions pe kam karke aap apni cpc ko increase kar sakte ho. iske alava aap agar isme jyada time nahi dena chahte hai to aapko adsense ke partner publisher ki help le sakte ho. ezoic ek paid service hai jo aapko apke adsense revenue ko increase karne me help karti hai, uske badle wo aapse earning ka kuch hissa leti hai.
AdSense Low CPC Ke Top Reasons And Solutions is post ko pura dhayan se padhne ke liye aapka dhanyavad. agar aap ko ye post useful lagi ho to ise share karke dusro ki help kare. 

Iske siva agar aapke pass koi sujav ya questions hai to aap comment me avashya share kare.