x

What is Hard Disk - Hard Drive Kya Hai पूरी जानकारी in Hindi

hard disk kya hai, what is hard disk in hindi, about hard disk in hindi, hard disk ki jankari hindi me, hard disk parts in hindi


Hard Disk Kya Hai - Hamare computer ya laptop ke sabse important parts mese ek part hai hard disk. aap new computer buy karne ka soch rahe hai ya aapke paas pc hai hai to aapko usme hard disk ke bare me pata hona chahiye.



Is post me hum detail me janenge ki hard disk kya hai, hard disk kis kis types ki hoti hai and agar aap new pc ya laptop kharid rahe hai to hard ka space kitna hona chahiye.

What is Hard Disk Full explain in hindi  

Hard disk ya hard drive ek data storage device hai, jo magnetic storage ka use karta hai aur data ko magnetic plates ki madad se save karke use firse read karta hai.

Must Read : Google Gmail Account Kaise Banaye Step by Step Jankari Hindi Me

What is the meaning of hard disk in hindi :

Aap jab bhi computer me koi text ya multi media file crate ya copy karte ho to aapka computer use hard disk me permanently store kar deta hai. us data ko aap jab chahe tab use, move, copy ya delete kar sakte ho.

Simple bhasa me kahe to hard disk data ko permanently store karne ka device hai.

History Of Hard Disk - Hard Disk Ka Itihas

IBN company me 1956 me sabse pahle mainframe and minicomputers ke liye hard disk banayi thi. jiska size 2 medium size refrigerators ke jitna tha aur 50 hard disk ke set 3.75MB data save kar sakte the.

Aaj ki tarikh ke hisab se 3.75 size bahut kam thi. uske baad new technology ke karan hard disk ka physical size kam hota gaya aur data store karne ka size badhta gaya. aaj 2017 me 12TB tak ki hard disk market me uplabdh hai.

Types Of Hard Disk ( Hard Disk के प्रकार )

Hard disk 4 prakar ki hoti hai. 

1. Parallel Advanced Technology Attachment (PATA) IDE



PATA first type ki hard disk thi jise sabse pahle banaya gaya tha. purane jamane ke pc me aapko is tarah ki hard disk dekhne ko mil jayegi. 

PATA hard disk ko 1986 me Western Digital ne shuru kiya tha. iska data transfer rate 133mb/s tak tha, aur is drive ke chanel ko 2 device se connect kiya ja sakta tha.


2. Serial ATA (SATA) HDD



SATA hard disk ne computer aur laptop's me PATA hard disk ki jagah le li hai. PATA aur SATA dono ke bich ka antar sirf unka interface hai aur do no ko connect karke ki vidhi saman hai.

SATA Disk ke fayde :

1. SATA hard disk serial signaling technology ka use karke PATA hard disk se jyada tezz data transfer kar sakti hai.
2. SATA hard disk cable PATA hard disk se jyada patli aur flexible  hai.
3. Ye kam power use karti hai. pata ke liye 5V uske badle sata sirf 250 mV ki hi jaroorat padti hai.
4. SATA hard disk ka data transfer rate 4.8 Gbit/s (600 MB/s) se 6.0 Gbit/s hai.

3. Small Computer System Interface (SCSI)

Ye IDE hard drive ke saman hi hai par isko chhote computer system me use kiya jata hai. SCSI hard drive ko internally ya externally connect kiya ja sakta hai.
Advantage Of Small Computer System Interface (SCSI)

1. Ye faster hard disk hai.
2. Ye bahut vishvesariya hai.
3. 24/7 Work ke liye good hai.
4. Large data store ya move karne ke liye anukul hai.

4. Solid State Drives (SSD)

SSD computer hard drive me sabse latest technology hai.ye anya hard disk se bilkul hi alag aur powerful hai, kyunki iske andar moving parts nahi hai. aur isme data store karne ke liye magnetism ka bhi use nahi kiya jata.isme flash memory technology ka use kiya jata hai.

Some Advantage Of Solid State Drives (SSD)

1. Data ko fast access karta hai.
2. Kam Power Use Karta Hai.
3. Small Size
4. SATA ya SCSI se jyada mahengi hai.
5. Moving parts na hone ke karan kam garam hoti hai.


Iske alava hard disk use karne ke mamle me do prakar ki hoti hai.


1.Internal Hard Disk - ye hard disk computer ya laptop ke sath assemble hoti hai.

2.External Hard Disk - is prakar ki hard disk ko alag se usb port se lagaya jata hai.



New Computer Buy Karne Se Pahle Hard Disk Kaise Choose Kare.


Agar aapka budget achchha hai aur aapko fast speed wali hard disk chahiye to aap SSD ko choose kar sakte hai. lekin agar aapka budget kam hai to SATA HDD hi kharide. Kyunki dono ke price me bahut fark hai. 1TB ki SATA hard disk ki kimat lagbhag 1500 se 4000 rs hogi wahi 1TB SSD ki kimat  10000 se 25000 tak ho sakti hai. 
What is Hard Disk? Hard Disk Ke Bare Me Puri Jankari is post dhyan se pura padhne ke liye aapka dhanyawad. computer aur internet se related new and rochak jankari apne inbox me pane ke liye subscribe our blog.

Agar aapko ye post useful lage to share it. aur apna sujav ya question comment box me post karen.