Blogspot Blog Ki Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
How To Submit Blogger Sitemap To Google Webmaster Tools? Full Tutorial With Pictures in Hindi : Blogger blog ki sabhi post ko google par ek sath submit karne ke liye aap apko apne blog ki sitemap google search console me submit karni hogi.
Is post me ham sitemap kya hai aur apne blogspot blog ki sitemap ko google search console me add kaise karte hai uske bare me detail me janenge.
Agar aapne abhi tak apne blogspot blog ko google search console se connect nahi kiya to aap is post ko padh kar submit kar sakte hai - Blogspot Blog Ko Google Search Console Pe Submit Kaise Kare.
Also Read :
Blog Or Website Ko Google Ke First Page Par Kaise Rank Kare
22 Instant On Page SEO Techniques 2018 in Hindi
Off Page Seo Kya Hai | Ultimate Off-Page Seo Techniques in Hindi
Site Map Kya Hai ? Blogger Blog Par Site Map Kaise Find Kare.
Sitemap ek file hai, jo xml aur html format me ho sakti hai. blogspot blog ki sitemap xml format me hoti hai. sitemap file me hamare blog ki sabhi post ke links hote hai.
Sitemap file submit karne par google search ko aapke blog ki sabhi post ke url ka pata chalta hai aur wo use index karta hai.
Blogger blog par sitemap find karne ke liye apne blog ke url ke piche /sitemap.xml type karke browser me open kare.
Example : http://www.probloghindi.com/sitemap.xml
Agar aapka blog blogspot subdomain par hai to aap ki sitemap ki link kuch is tarah hogi.
http://yourblog.blogspot.com/sitemap.xml Or https://yourblog.blogspot.com/sitemap.xml
Sitemap ko find karne ke baad aapko is site map ko google search console par submit karna hoga, jisse google aapke blog ke sabhi post ko index kar sake.
Blogger Sitemap Ko Google Webmaster Tools Par Submit Kaise Kare
Step 1 : Sabse pahle pane web browser me Google Search Console open kare.
Step 2 : Ab apne blog par click kare.
Step 3 : Ab Left Side Menu me Crawl > Sitemaps par click kare.
Step 4 : Ab Top me Right Side me ADD/TEST SITEMAP button par click kare.
Step 5 : Ab apne blog ke url ke piche text box me Sitemap.xml type karke Submit par click kare.
Step 6 : Ab ek message display hoga - Item submitted. Refresh the page. usme Refresh Page par click kare.
Step 7 : Refresh karne par agar aapko niche picture me dikhaya gaye ke hisab se display hota hai to aapki sitemap successfully submit ho chuki hai.
Sitemap submit hone ke baad aap jab bhi koi new post apne blog par create karte hai tab Sitemap ko select karke Resubmit kare jisse new post automatic index ho jayegi.
Also Read :
Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye - Complete Instant Guide in Hindi
Blog Se Paise Kaise Kamaye - 8 Best Tarike in Hindi
25 Best Online पैसे कमाने की Website List ( 100% Genuine )
Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye Step By Step Guide
Blogspot Blog Ki SItemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare is Blogger Tutorial in Hindi ko pura padhne ke liye aap ka dhanyawad. blogspot, blogging aur seo se related koi bhi question aap niche comment box me submit kar sakte hai. Pro Blog Hindi ke New Posts Ke Updates Fast pane ke liye hamare blog ko email se subscribe kare ya phir hamare facebook page par follow kare.