x

22 On Page SEO Techniques in Hindi For Increase Website Traffic 2023

Best On Page SEO Techniques in Hindi : Agar aap ek blogger hai ya koi professional website chalaten hai to uspe achchhe traffic hona bahot jaroori hai. online traffic pane ke sabhi tariko me se best hai organic search traffic pana, jo direct google ya anya search engine se aata hai. good organic traffic pane ke liye aapke blog ya website ya blog ka search engine pe high rank pe hona bahut important hai. friends, is post me ham kuch instant aur easy on page seo techniques ke bare me janenge, in tips ko use karke aap page ko sahi tarike se optimize karke search engine par high rank hasil karke bahut sara organic traffic prapt kar sakte hain. 

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Agar aap seo learn karne me new hai to aap seo ke bare seo ke bare me basic se advance detail me janne ke liye hamari ye post padh sakte hai. in post me seo kya hai, on-page seo aur off-page seo ke uske factor kon kon se hai aur kon kon se techniques use kar ke apna seo ka knowledge improve kar sakte hain.

SEO Kya Hai | Learn Complete Search Engine Optimization in Hindi

On Page SEO Kya Hai - 16 Best On-Page Seo Techniques in Hindi

Off Page Seo Kya Hai | Ultimate Off-Page Seo Techniques in Hindi

Top Easy On-Page Seo Techniques And Tips in Hindi 


1. Unique/Quality Content Create Karen

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Ye sabse bada fact hai, ki google unique aur high quality content ko sabse jyada pasand karta hai. aur agar aap blog par adsense use karte hai to aapko unique content pe cpc bhi bahot good milta hai.

Unique post likhne ke liye aap aise topic ki khoj kijiye jin par bahut kam likha gaya ho aur search volume bhi jyada ho. Kyunki agar aap pehle se mojud topic par likhte rahenge to aapko traffic milne me muskil ho sakti hai.

Aap google keyword planner ya kisi paid seo tools ka use karke aise topic khoj sakte hai, jinpe aap unique post likh sakten.

Unique content ke sath aap ka content ki quality bhi high honi chahiye. aap jis bhi topic ya keyword par post likhe uski puri knowledge aapko honi chahiye. aap us topic par bahot sara research karke ek high quality post create kar sakte hai.

Iske alawa aap eye catching images, videos ya anya multimedia ko create karke apne content ko behtar bana sakte hai.



2. Post Title Ko Optimize Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post ka title seo me sabse bada factor hai, agar aapki post high quality hai aur title optimize nahi hai to aapko traffic pane me muskil ho sakti hai.

Search engine sabse pahle title post ya page ke title ko dekhta hai. aur ek eye catching title se aap ka ctr bhi improve hota hai, jisse high rank pane me asani hoti hai.

Post/Page Title Ko Optimize Kaise Kare :


 1. Title ki length 60 se 70 tak hi rakhen.

 2. Title me main keyword ka use karen.

 3. Unique title create kare.

 4. Hindi blog pe title ko english aur hindi me mix rakhe, jisse CTR improve hoga.

 5. Title ka use heading <h1> tag me hona chahiye.

 6. Bahot small title na use kare, sirf keyword ke liye.

 7. Title me stop words ka use kam karen.

 8. Title me Best, Easy, Top, Instant aur Latest jaise words ka use karen.

Examples of Use Proper Post Title :


Manlo aapki post hai top youtube music channel in india, to aap is tarah se title use kar sakte hai.

 1. Top XX Youtube Music Channal in India

 2. XX Best Youtube Music Channal in India

 3. XX Great Indain Youtube Music Channal For Listen Best Music

 4. List Of Indain Youtube Music Channal For Listen Heart Touching Music

 5. XX Most Subscribed Youtube Music Channal in India


3. Page URL Structure Ko Optimize Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Organic traffic boost karne ke liye, dusra sabse bada factor hai page ka uri. post ko high rank prapt karne ke liye uska url structure thik hona bahot important hai.

Page ke Url Ko Improve Karne Ke Tips : 


 1. Url ho sake utna small rakhen. 2 se 3 words hi use kare.

 2. Url me keyword ka use karen.

 3. Url me stop words ka use na karen.

 4. Har post ke liye different url use karen.

 5. Url me words ke bich dash ( - ) ka use kare.

Examples Of  Use URL Of Page  :


 1. http://your-site.com/word-word-word/

 2. http://your-site.com/word-word-year/

 3. http://probloghindi.com/on-page-seo/

 4. http://probloghindi.com/on-page-seo-techniques/

 5 http://probloghindi.com/on-page-seo-techniques-2019/

4. Heading/Sub heading Tag Ka Perfect Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Agar aap ek detailed aur list post likhte hai to aap ko usme bahut sare sub title use karne hote hai. aap un sub titles ko heading or subheading tags dekar apni post ki ranking boost kar sakte hai.

HTML me <H1> aur <H2> heading tag hai, aur <H3>,<H4>, <H5> aur <H6> sub heading tags hai. inka proper use karne post ki value search engine pe badhti hai.

Heading/Subheading Tag Ka Proper Use Kane Ke Tips :


 1. <H1> tag me post ka title hi likhe. aur sirf ek bar hi use karen.

 2. <H2> tag me aap keyword ka use karen. aur post me jyada se jyada 2 se din bar hi use karen.

 3. <H3> tag ka use post ke main point ko highlights karne ke liye karen. isme bhi aap keyword ka use kar sakte hai.

 4. <H4>,<H5> aur <H6> ka use agar aapki post bahot badi hai aur main points ke alawa aap sub points ko highlights karna hai to kar sakte hai.

Example Of Use Heading/Sub Heading Tags in Post : 


 1. <H1> Your Post Main Title </H1>

 2. <H1> 22 Instant On Page Techniques 2019 in Hindi For Increase Traffic </H1>

 3. <H2> Your Post Second Title With Keyword </H2>

 4. <H2> Top Easy On-Page Seo Techniques And Tips in Hindi </H2>

 5. <H3> XX. Heading/Sub heading Tag Ka Perfect Use Kare </H3>

 6. <H4> Example Of Use Heading/Sub Heading Tags in Post :  </H4>


5. Meta Description Tags Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Meta description tag post ke liye bahut important hai. agar aap post ka meta description sahi tarike se use karke aap search ranking me high rank ke sath high CTR bhi prapt kar sakte hai.

Meta description tag html me <head> section me hota hai, aur wordpress aur blogspot me aapko post likhte samay iska option bhi jata hai.

Kai log post to bahot bahetrin likhte hai, lekin meta description tags ka use karna bhul jate hai ya jyada important nahi samajhte. mere personal experience se me aapko bata sakta hun ki ye post ke liye ye bahut important hai. blogging ki starting me is tag ko use nahi karta tha, lekin kuch seo ke knowledge ke baad mene kai post ka meta description thik karke bahut kai post ki traffic aur ranking improve ki hai.

Meta Description ka Proper Use Kaise Kare :


 1. Meta Description Tag me aap long tail keyword ka ek se do bar use karen.

 2. Meta Description me 150 se 160 words ka use karen.

 3. Har ek page ke liye unique meta tag create karen.

6. Keyword Density Check Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Keyword density matlab aapne post me keyword ka use kitna kiya hai uska percentage. post me keyword ka use sahi tarike se aur jahan jarur pade wahan karna bahut important hai.

Aap post me keyword ka use kam se kam bar hi kare to bahetar rahega, waise seo ke liye keyword density 1.50% se 2% tak rakhna thik hai. jyada keyword ka use karne se post ko search engine pe rank pane me muskil ho sakti hai.

Keyword density check karne ke liye aap wordpress blog par Yoast Seo Plugins ka use kar sakte hai. aur agar aap blogspot pe blogging karte hai to aap anya free tool ka use kar sakte hai.

7. Images Ko Optimize Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Sahi tarike se optimize ki hui image blog ke seo ke liye bahetar mani jati hai. agar aap large size ki image ka use karte hai, to wo aapke page ka loading time slow kar deti hai, jo search engine pe rank high rank pane me musibat ban sakti hai.

Image ko optimize karne ke liye aapko uski size ko compress karna bahot jaroori hai. uske liye aap ke pass bahut sare tool free me uplabdh hai, jinka use karke image ko compress kar sakte hai.

Agar aap ka blog wordpress par hai to aap kisi free image optimize plugins ka use kar sakte hai. aur agar aap blogspot par blogging karte hai to aap Compress.io ya kisi aur tool ka use kar sakte hai.

Iske alava image ka format bhi bahot important hai, post me .jpg ya .png images use karna bahetar mana jata hai. 

Image optimization me aapko image ke filename ko bhi optimize karna bahut important hai, aap image ke filename me keyword ka use kar sakte hai.

8. Long Post Likhne Ki Try Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Google long post ko short post ke muqable jyada mahatva deta hai, so agar aap high rank hasil karna chahte hai to aapko long post likhni bahut important hai.

Aap jis bhi topic par likhe us par pura research karke long post likh sakte hai, kyunki short post ko na to search engine par high rank milti hai aur na hi user ke liye wo faydemand hoti hai.

So agar aap search engine par high ranking pana chahte hai to aap kam se kam 2000 words ki post likhne ki try karni chahiye.

9. Internal Linking Structure Improve Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Blog post ke andar ham jo apni dusri post ko links dete hai use internal links kahte hai, blog ke seo ke liye internal links bahot important factor hai.

Internal link ka sahi tarike se use karke aap search engine par high ranking prapt kar sakte hai, aur blog ka bounce rate bhi kam kiya ja sakta hai.

Post me kam se kam 5 aur jyada se jyada 10 internal links ka use karna behtar mana jata hai, par agar aapki post large hai to aap jyada link ka use kar sakte hai.

Blog post ke andar jahan jaroor ho aur ek do links ka use aap post ke end me bhi kar sakte hai. aap wo hi internal links use kare jo important aur post se jyada releted ho, ya phir aisi post ki links ka use kare jo aapke blog ko jyada traffic dila sakti ho.

10. External Links Ka Sahi Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Aap apne blog par sabhi tarah ki jankari to post nahi kar sakte hai, to aapko jahan jaroor pade wahan par kisi trusted website ki external link ka use karke apni site ki ranking improve kar sakte hai.

External links ka use karte samay is baat ka khayal rakhe ki aap jis website ko link de rahe hai uski Domain Authority good ho aur us website ka spam score bhi Moz Tool se check kar le.

Agar aap sahi external links create karte hai to usse aapne post likhte samay kitna research kiya hai uska pata chalta hai, aur user ko bhi referral ki direct link mil jati hai, jisse uska time bhi save hota hai.

So agar aap search engine pe high ranking prapt karna chahte hai to, aap jahan bhi jarurat ho wahan external links de sakte hai. aur ek baat ka khayal rakhe ki aapki di gayi external link new tab me hi open ho.

11. Sahi Keywords Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post likhne se pahle proper keyword research karle, keyword research karne ke liye aap free google keyword planner ya semrush jaise paid tools ka use kar sakte hai.

Aap aise keyword ka use kare jinpe search volume jyada se jyada mil sakte, kyunki kai bar kitni bhi behtarin post likhne baad bhi organic traffic na milne ki sabse badi wajah galat keyword ka chunav hota hai.

Keyword choose karne ke baad aap us par research karke post likh kar bahut sara organic traffic hasil kar sakte hai.

12. Image Me Alt Tags Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Image seo me ALT tag ka use karna bahut important hai, agar aap image ke alt tag me sahi tarike se keyword ka use karte hai to wo aap ki post ki ranking improve karne me help kar sakta hai.

Google me images ko top ranking me lane ke liye alt tag ka use karna bahut jaroori hai, alt tag search engine ko ye nirdesh deta hai ki wo image kis vishay par hai.

13. Website Ke Loading Time Ko Speed Up Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Google ke research ke anusar jo page 7 sec ke andar load nahi hota, user us page ko chhod deta hai. so agar aapki website ki loading slow hai to aap apna bohat sara traffic lose kar sakte hai.

Google ke new updates me post ki loading time ko bahot mahtva diya jata hai, jin websites ka loading time bahot slow hai wo dhire dhire top pages se gayab ho jati hai.

Page loading time ko optimize karne ke liye aap images aur multimedia ko compress kar sakte hai. iske alawa apne blog par flash graphic ka use nahi kare to behtar hai. agar aap ka blog wordpress par hai to aap free CDN network ka use karke speed improve kar sakte hai.

Apni website ke loading ko check karne ke liye aap google pagespeed insights, gtmetrix.com ya dusre tools ka use kar sakte hain.

14. Multimedia Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post me text ke sath multimedia ka use karne se post ka pageview time increase hota hai, users text se jyada images, video aur infographics ko jyada pasand karte hai.

Search engine sirf text wali post se jyada multimedia wali post ko jyada mahatva deta hai, aur usse aap ki post ki ranking increase hoti hai.

Post me jahan jahan aapko jarurat lage wahan par aap images aur infographics ka use kar sakte hain, iske alawa aap post ke andar ya last me youtube video bhi embed kar sakte hai.

15. Post Ka Grammar Correct Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Search engines bahot sari grammar mistake ke sath likhi gayi post ko jyada mahatva nahi dete, aur us post ko rank karna bahut mushkil kam hai.

Agar aapki posts me grammar mistake hai to use aap correct karna start kar de, uske liye aap bahot sare free ya paid tools ka bhi use kar sakte hai.

Grammar mistake correct karne se aapki post ki value badhegi aur search engine me high rank prapt karne me aasani hogi.

16. LSI Keywords Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post ke andar aap main keywords ke sath LSi keywords ka use karke, post ki ranking behtar kar sakte hai.

LSI keywords main keywords ke releted keywords hote hai, jaaise ki motivation ka inspirational. aap ko aise keywords google pe search karte samay mil jayenge.

LSI Keywords ki find karne ke liye aap free ya paid seo tools ka use kar sakte hai. seo tools ke alawa aap apne competes ki post me se bhi un keywords ko find kar sakte hai. 

17. First 100 Words Me Keyword Use Kare 

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Koi bhi post likhte samay aapko ye dhyan rakhna bahot important hai ki, aap jis bhi keyword ke liye post likh rahen hai us keyword ko first 100 words me ya first paragraph me use kare.

Kai log post me starting me bahot bada into likhten hai, lekin usme keyword ka use karna bhul jaten hai.

Agar aap apni post ko search engine par high ranking par dekhta chahte hai, to post ke first 100 words me keyword ka use smart tarike se kare.

Aap keywords planner tools use karke long tail keywords find karke unka use karke, unka use first paragraph me karen.

18. Images Me Caption Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Image ko caption dena on page ke liye bahot important hai, jisse search engine ko asani se pata chalta hai ki aap ki post ki images kis subject par hai.

19. Engaging Content Likhe 

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post likhte samay is baat ka dhyan rakhe ki aapki post padhne wale ko jyada ended kare. ek simple knowledge wali post se engaging post use ko jyada connect karte hai, usse aapki post ko jyada share mil sakte hai.

Aap jo bhi post likhne se pahle ye sochen ki aapki post se user ki konsi problem solve hoti hai, wo kis problem ke karan aapki post padh raha hai.

Post ki starting me post summary me aap 3 cheeje likh kar post se user ko engaged kar sakte hai.

 1. Sabse pahle problem accept karen karne.

 2. Dusra aapki post me aap user ko kya kya knowledge milne wala hai.

 3. Last me users ko ye bharosa de ki aapki post padhne ke baad uska doubt clear ho jayega.

20. Text Format Improve Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post likhne ke baad aap text ko proper format karna bahut jaruri hai, proper format wali post ko search engine jyada mahatva deta hai.

Post me aap jahan jaroorat ho bahan par bold, itatic aur underline kar sakte hai. iske alawa table create bhi kar sakte hai.

Jahan aapko jaroor lage wahan par aap text ko alag color de sakte hai. jahan aap backquote use karte hai, wahan par backquote tag ka use karen.

Agar aapka blog purana hai aur aapki posts ka text format thik nahi hai, to aap use proper text format ke sath update karke bhi aapke blog ki traffic increase kar sakte hai.

21. Post Ke Conclusion Me Keyword Ka Use Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Post likhne ke baad last me post ka conclusion likhna bahut important hai, jise search engine pasand karta hai.

Last me aapko ek se do bar keyword ka use karna chahiye. jisse search engine ko pata chale ki aap ki post kitna important hai.

Conclusion me keyword ka use karne se aapki rank improve hone me bahot help milegi.

22. Theme/Template Ke HTML Tags Sahi Kare

SEO, On Page Seo in Hindi, On Page Seo Techniques in hIndi, Advance Seo Training in Hindi,


Kai baar ham apne blog ke liye free themes use karte hai, khas karke new blogger aur jinhe html aur css ka jyada knowledge nahi hota wo ye jyada karte hai.

Free themes ki sabse badi problem ye hai ki usme bahot sari khamiyan hoti hai, jo aapke blog ko search engine par rank karvane me dikkat paida kar sakti hai.

Khas karke blogspot pe kai log ye mistake karte hai, aur kai wordpress ki free aur paid themes bhi proper seo ke liye nahi hoti hai.

Themes ko use karne se pahle use puri tarah se modify karna bahut jaroori hai, chahe wo free ho ya paid.

Kai free blogspot themes me sabse badi problem ye hai ki wo post ko redirect karke dusri website pe le jati hai, jo aapke blog ke liye bahot danger hai.

Theme edit karte samay sabse pahle ye check kar le ki usme use ki gayi javascript kahin user ke liye harmful to nahi hai, use check karne ke liye aap chrome browser me jab blog open karte hai, to url bar me ek warning icon dikhai dega, jispar click karne par aapko ye message dikhai dega ki unsafe scripts.

iske alava kai themes me bahot sare heading aur sub heading tag pahle se mojud hote hai. aap unko hata kar theme ko repair kar sakte hai.

Agar aap new hai to aap thoda bahot html aur css sikh le, jisse aapko theme ka basic structure thik karne me asani ho sake.

Simple On-Page Seo Checklist in Hindi


Aap new post likh rahe hai ya phir old post ko update kar rahen hai, to aap niche diye gaye simple step ko follow kar ke apne blog post ka on page seo complete kar ke use high ranking par la sakte hai.

 1. Sab se pahle post ke title ko proper improve kare.

 2. Meta decription tag ka sahi tarike se use karen.

 3. Heading or Subheading tag ki jahan jaroor lage wahan par use kare.

 4. First 100 Words me ek baar keyword ka use karen.

 5. Post ka text format thik karen.

 6. Post ke liye summary aur last me conclusion likhen.

 7. Internal aur external linking structure thik karen.

 8. Images compress, filename seo friendly, alt tag aur caption tag sahi tarike se use karen.

 9. Post ke url ko repair karen.

 10. Theme ko proper edit karen.

22 Instant On Page Techniques in Hindi Increase Traffic is article ko pura dhyan se padhne ke liye aap ka dhanyawad. agar aapka on-page seo se releted koi quistion hai to aap niche comment me post kare. aur post agar useful lage to use facebook ya anya socal network pe share avashya karen.