x

Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachayen | Facebook Security Tips in Hindi

Facebook Security Tips in Hindi : Facebook aaj kal hamare life ka important hissa ban gaya hai. hame na chahte hue bhi facebook ka use karna padta hai, kyunki hamare friends facebook par hote hai. to chaliye jante hai facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook par privacy kaise lagaye aur facebook ke kuch security tips in hindi.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Facebook ka use karna ko galat baat nahi hai, lekin agar hame facebook ka use karte samay kuch security rules ka palan karna bahut zaroori hai. kyunki agar hamara facebook account agar kisi aur ke control me aa jaye to wo hamare sath ba to galat kar sakta hai. 



kuch log is chiz ko jyada seriously nahi lete, wo log in baton ko mazak me uda dete hai. mene apne ek dost ko bola tu apna password strong rakha kar, to usne kaha ki ham kon se koi celebrity hai jo hamara account hack ho gaya to fark padega.

Kuch din pahle facebook ke kai users data leak hua tha, wo to aapko pata hi hoga. us hacking me pata chala ki facebook aapka bahut kuch record rakhta hai. aapke contact aur call log jaisi sensitive jankari bhi record karta hai.

Agar aapka facebook account kisi galat insan ke hath lag jaye to, wo aapko bahut nuksaan pahunch sakta hai. jiska sab ko andaza nahi hota hai. aapke profile se galat post dalna, kisi galat post par like ya comment, aapke friends ko galat messages, aap ka pura data download karna etc.. jaise kaam karke wo aapko bahot badi musibat me daal saka hai.

So, agar aap bhi apne facebook account ko hackers se safe rakhna chahte hai, to aap ko niche diye gaye kuch simple se facebook security tips ko follow karna hai.

Facebook Par Kisi Bhi Account (ID) Ko Block And Unblock Kaise Kare

Facebook Instant Articles For Blogspot - Complete Guide In Hindi

Facebook Account Ko Hackers Se Kaise Bachaye - Facebook Security Tips in Hindi 


1. Strong Password Rakhen


Facebook account se login karne ke liye password ki zaroorat padti hai. agar aapka password weak hai to hackers ke liye use break karna koi badi baat nahi hai. 

Facebook Password Me Aap In Chizon Ka Use Kabhi Bhi Na Karen :

1. Aapka Mobile Number


2. Date Of Birth

3. Aapka Naam ya Kisi Pahechan Wale Ka Naam

4. Aapke pass koi dog ya kuch aur hai uska naam

5. Aapki Bike Ya Vahicle Ka Number

6. Aisi Koi Bhi Chiz Jise Koi Asani Se Guess Kar Sake

Facebook Par Strong Password Kaise Create Karen :

Waise aap facebook par 8 digit ka password create kar sakte hai. lekin aapko 8 ya 10 digit ka password kabhi bhi create nahi karna chahiye. uska reason ye hai ki jab hackers aapke account pe brute force attack karta hai, tab wo in digit ka use karta hai, jisse aapka password asani se mil jaye.

Password rakhne ke liye aap kamse kam 13 ya usse jyada digit ka use karen.

Password me sirf letters ka use na karen. strong password create karne ke liye aapko letters, numbers aur spacial words ka combination use karna chahte hai.

Example Of Strong Password : Liu12#%^op)_=11. Note : Ye sirf example password hai, aap aise hi strong password create karke apne fb account ko safe kar sakte hai.

Free Blog Kaise Banaye Step By Step Guide in Hindi ( Sirf 5 Minutes Me )

Top 5 Free Most Popular Blogging Platform Ki Jankari Hindi Me

2. Hide Your Mobile Number And Email 


Facebook par login karne ke liye mobile number, email address ya username ka use hota hai. so agar aap apne facebook account ko safe rakhna chahte hai, to privacy setting me jakar mobile number aur email ko dusro se hide kar sakte hai.

Mobile Number Or Email Address Ko Hide Karne Ki Process :

Step 1 : Sabse pahle Facebook me Top Menu me jakar Profile Ko Open Karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 2 : Ab About par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 3 : Ab Contact And Basic Info par click kare.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 4 : Ab Contact Information Section Me aap jise bhi hide karna chahte hai, uske right side wale icon par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 5 : Ab Open Huye options me Only Me ko Select karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 6 : Ab Niche Save Changes par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Aap agar mobile number aur email dono ka use karte hai, dono alag alag upar ke step ko follow karke hide kar sakte hai.

3. Never Use Untrusted Facebook Apps


Facebook developers ko aise apps aur games banane ke liye simple api private karvata hai, jisse wo apps aur games ko facebook se connect karke user ka data use kar sake. aur aaj kal koi bhi online simple tutorial padh ke app develop kar sakta hai.

Lekin kuch developers aise apps banate hai ki, jisme bahut sari sensitive permission aur data ka use karte hai. sensitive permission me kisi post ko like karna, kisi bhi post par comment karna.. etc aur sensitive data me aapke contact information, private kiye hue photos etc.

Aapne facebook par aisi kai posts dekhi hongi, jisme log apps ka use karke photos kuch add karte hai. aur us link par click karne par aapki photo bhi taiyar ho jati hai. jaise ki aapka best friend kon hai, feature me aap kya honge, aapke upar konsa dialog suit karta hai. etc.. aap aise apps ka use na kare to aapke liye behtar hai.

Agar apne aise apps use kiya hai, ya karna chahte hai to aapko app ka use karne ke baad aapko us app ko facebook profile se hata dena chahiye.


How To Remove Untrusted Apps From Facebook

Step 1. Sabse pahle facebook open karke, top menu mese settings par click karen.

Step 2 : Ab Settings me Left Side Menu se Apps And Website par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 3 : Active apps and websites section me aapko use kiye gaye apps ki list dikhai degi. aap jin jin apps ko remove karna chahte hai unhe select kare.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 4 : Apps select karne ke baad Remove Button par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 5 : Remove Button par click karne par ek popup open hoga. usme Also delete all posts, photos and videos on Facebook that these apps and websites may have published on your behalf is option ko select karke Remove par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers

4. Never Click On Untrusted Links


Whatsapp pe ya kahi aur se hame roz kai links milti hai, jinpe click karne par aap kisi website ko open hoti hai. ye links khas karke short url hoti hai, jisse uska real location website open hone ke baad pata chalta hai.

Aaj kal whatsapp group me koi bhi sirf invite link ko click karke join ho sakta hai, kai log aise groups bana kar unki links facebook groups me post kar dete hai. aap ke groups kai log aise honge jinhe aap nahi jante honge. 

Aise groups me kai log free recharge, free paytm cash, free mobile phone, jobs ki jankari etc.. jaise links ko bina soche samjhe open aur foreword kar dete hai. in links me kai links aisi hoti hai, jo hame kisi unknown website pe le jati hai.

Ek mobile phone ya ek computer ko sirf ek link se hack karna aaj kal hackers ke liye koi badi baat nahi hai. aur online itne tutorials pade hai, jisse padhke ko bhi ye process kar sakta hai.

In links me kai link hamare browser ke cookies aur data ko direct hackers ke server pe send kar deti hai. jisme aap ka facebook ka data bhi ja sakta hai. so agar aap safe rehna chahte hai to kabhi bhi aisi links pe click mat karen.

5. Phishing Site Se Bachen


Hacking me phising ka matlab hota hai, user ko facebook ya kisi trused site ke jaisi hi banai hui site pe le jana aur username aur password collect karna. 

Phishing sites dekhne par aapko original site ke jaisi hi dikhegi, lekin agar aap browser se url me dekhenge to aapko url kuch aur hi dikhai dega.

So aap facebook ko sirf facebook ke url se hi open karen. kisi aur link se open na karen. 

6. Untrusted Software Ya File Download Na Karen


Log akshar free me download karne ke chakkar me aise software aur files ko download kar lete hai, jisme virus ya spy tools pahle se install hote hai. aur unki khasiyat ye hai ki aapko uska pata bhi nahi chalta.

Pc ke alawa android me sirf ek apk file ya pdf file aapke pure phone ko hack kar sakti hai. whatsapp groups me maine kai baar dekha hai ki kai log aisi pdf files ko send aur forward karte rahte hai, jisme pahle se virus hota hai. 

So agar aap bhi safe rehna chahte hai to kabhi bhi aisi file ko download na karen. software uske original source se hi download karen. kuch log mante hai ki unke pc me ya mobile me anti virus hone se wo safe hote hai, world ka koi bhi anti virus aapko 100% safe nahi kar sakta.

7. Never Use Auto Likers


Apni post pe ya fb page pe kuch likes increase karne ke liye kai log auto likers ka use karte hai, so bilkul safe nahi hai.

Aap kuch likes ke liye apne pure facebook account ka control auto likes website ya apps ke hath me de dete ho. jo bahut danger ho sakta hai.

Auto likers likes 4 likes concept kar work karte hai, matlab aapko likes milte hai uske badle me aap ke account se dusro ko likes diye jate hai.

Ab auto likes use karne wala har insan to sarif nahi hota, kai log aise page ya post pe auto likers laga dete hai. jo bahut galat hoti hai.

So agar aap apne account ko safe rakhna chahte hai aur feature me apne liye koi musibat nahi chahte to auto likers ka use na karen. kya fark padta hai likes kam mile to.

8. Check Activity Log For Safety 


Facebook pe ham jo kuch bhi karte hai, uska pura record aapko activity log me dekhne ko milta hai.

Jaisa ki aapne kisi like kiya, kon si post pe comment kiya, kya kya search kiya etc.. aapki puri facebook history wahan mojud hoti hai.

So agar aap check karna chahte hai ki aapke account se koi unwanted harkat to nahi hui hai ya aapka account hack to nahi hai to aap activity log se pata kar sakte hai.

How Check Activity Log On Facebook

Step 1 : Sabse pahle apne browser me facebook site open karke, top side menu me se Activity Log par click karen.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers


Step 2 : Ab aapke screen par pura activity log open hoga. aap agar category wise dekhna chahte hai to uske options aapke left side me dikhai denge.

facebook account ko hack hone se kaise bachaye, facebook id ko hakers se kaise safe rakhen, facebook security tips in hindi, how safe facebook account from hackers



Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye - Best Tips in Hindi is facebook security article ko pura padhne ke liye aap ka dhanyawad. agar aapka computer security aur facebook se related ko bhi doubt hai to niche comment karen.