x

हैकिंंग कैसे सीखें - हैकर कैसे बने | How Learn Hacking Advance Guide in Hindi

hacking kaise sikhe, how to learn hacking in hindi,




Hacking ye word sunne par jyadatar logo ke mind me hacking ke bare ye khayal ata hai ki hacking matlab cyber crime. aur hacker matlab cyber chor. lekin ye baat puri tarah sahi nahi. kuch criminal minded hackers ki wajah se log aisa sochte hai.

Friends hacking ek bahot bada field hai. is post me ham hacking kya hai, hacker kaise bane, hacker kis prakar ke hote hain aur hacking kaise sikhe uske bare me step by step janenge. 

Hacking Kya Hai ? What Is Hacking - Puri Jankari Hindi Me

Computer system aur network me khamiya khoj kar us system ko pura apne control me lene ki process ko hacking kahte hai. 


Must Read : 17 Best Hacking Techniques की पूरी जानकारी In Hindi

Is karya ko karne wale ko hacker kahte hain. ab jante hai ki hackers kis kis types ke hote hain.


Types Of Hacker - Hacker Kis Kis Type Ke Hote Hai :

Akshar hacker 4 type ke hote hai.

1. White Hat : 

White hat hacker ko ethical hacker bhi kaha jata hai. is type ke hacker certified hacker hote hai. badi badi company aur government inko apni cyber security ke liye hire karte hai.

Is type ke jyadatar hacker jyada powerful nahi hote. hamari bhasa me padhe likhe gadhe bhi bol sakte hai. kyon ki inko na to koi spacial skill aati hai aur na hi time pe ye kaam aate hai .kyunki inko course jitna sikhaya jata hai utna hi aata hai.

2. Black Hat : 

Black hat hacker inko cyber criminal kaha jata hai. ye log khaas tor par sirf paiso ke liye hi hacking karte hai.



ye log apni skill me bahut expert hote hai. kai bar government aur company ko jab un padhe likhe gadho se kuch solve nahi hota to inki madad leni padti hai.


aise kai black hat hacker hote hai jo age jakar white hat ban jate hai. agar aapne hacking ke bare me thoda bahot padha hoga to aapko kevin metnik ka naam suna hoga.

kevin metnik duniya ka sabse khatarnak hacker tha. usne USA government aur badi badi company ki naak me dum kar diya tha. bad me pakde jane par saja puri karne ke bad wo aaj USA cyber security ka head bana.

3. Green Hat :

Green hat hacker dono kaam me expert hote hai. white hat aur black hat ko mix kare use green hat hacker kaha jata hai.

ye log kisi ke liye kaam nahi karte. par ye log apni skill itne mahir hote hai ki ye white hat aur black hat dono ka kaam kar sakte hai.

4. Script Kiddie :

Script Kiddie un logo ko bulaya jata hai jo na programming jante hai aur na hi unhe hacking ki koi knowledge hoti hai, phir dusro ke banaye tools ko use karke hacking karne ki try karte hai.


Har hacker apne suruat ke time me ek script kiddie hota hai.

Must Read : What is Hard Disk? Hard Disk Ke Bare Me Puri Jankari

Hacker ke types ko janne ke bad ab ham hacing ke types ke bare me janenge.

Types Of Hacking - Hacking Ke Prakar Hindi Me :

1. System Level Hacking

2. Web Server Hacking


3. Web Application Hacking


Ab ham jante hai hacking kaise sikhte hai. 


How Learn Hacking Step Step Guide In Hindi


1. Learn Some Programming Languages

Ek behtar hacker banne ke liye good programming skill hona bahot jaroori hai. aap bas dusro ki script use karke real hacker nahi ban sakte ho. ek real hacker apne program aur scripts khud likhta hai.

Hacking ke liye aapko programming c, python aur ruby ye teen language sikhna bahot jaroori hai. kyunki aaj kal hacking ki sari scripts in language me hi likhi jati hai. aap external me perl aur php bhi sikh sakte hai.

2. Learn Basic Hacking Fundamentals

Hacking sikhne se pahle uske basic fundamentals ko jaanna bahut jaroori hai. kyunki hacking ek process hai. 

Hacking ke basic fundamentals me target ki information collect karna, target pe attack karna, apne aapki pehchan safe rakhan, password crack karna aur hacking puri hone ke baad footprint mitana jaisi chijo ka knowledge lena padta hai.

3. Learn How To Use About Linux System

Linux ya unix ek open source operating system hai. hacking ke jyadatar sare program aur scripts linux os ke liye banaye jate hai. linux ko jyada aam user hard hone ki wajah se use nahi kar pate hai isliye linux windows aur mac se jyada safe hai.

Linux system ko chalana windows aur mac se thoda kathin hai. kyunki usme jyadatar kam command line me hi karna hota hai. so agar hacking sikhna hai to linux system ko chalana bahut important hai.

4. Read Some Computer Security Books

Kuch bhi naya sikhne ke books padhna bahut important hai. hacking ko sikhne ke liye aap ko kai hackers dwara research ki gai books, networking security related books aur programming ki books padhna bahut jaroori hai.


Books ke sath aap hacking se judi magazine aur news bhi padhna suru kar sakte ho. aur kamse kam 5 hacking forums ko join kar le, jisse aapko hacking ke new tools aur techniques ka pata chalta rahega.


5. Learn About Using Hacking Tools

Hacking karne ke liye kai basic open source tool banaye gaye hai. jo online free pade hai. sabse pahle aise 50-60 tools ko use karna sikh le.

Hacking ke sirf open source tools hi use kare aur wo bhi linux me. kyunki windows ke kai free tools khud ek malware hote hai. jisse apka khud ka pc khatre me pad sakte hai.


6. Learn More Than One Operating Systems

Kuch duniya me jyada use hone wali os ke bare jaan le. world me jyadatar windows aur mac os hi sabse jyada uske jate hi. so sabse pahle ho sake utna in dono os ke bare me jaan le.

Uske baad ek do aur os ke bare me bhi jaan le. operating system kaise work karta hai, usme security kaise work karti hai, networking kis tarah se ki jati hai aur kuch basic chijo ko jamane se jab aap hacking karoge tab aapko help milegi.


7. Learn Networking Concepts

Networking complete jankari ek hacker ke pass hona bahot jaroori hai. ek network kaise work karta hai, usme kitne clients aur server hai, uski security system kya hai, network ki type ka hai aur window me network ke liye kon kon se tools hai in sab baton ka ek hacker ko pata hona chahiye.

Ek hacker sabse pahle pure network ko scan karta hai, fir usme security ki khamiyan khojta hai aur khami milne ke bad attack karta hai aur pure network ko apne control me le leta hai. so networking ke bare me jitna ho sake utna jyada janne ki koshish kare. online aapko iske bare me bahot kuch mil jayega.


8. Simple Tutorial Sites Se Start Kare

Hacking sikhne ke liye online free me bahot sare tutorials site banai gayi hai. so agar aap ek simple suruat karna chahte hai to aap kuch tutorials ki madad se hacking start kar sakte ho.

Tutorial ka use karne se pahle ye jaan le ki uske ant me kya hota hai. kai bar sirf thoda bahut padh kuch log try karne lag jate hai. aur bahot danger parinam bhugtan pad sakte hai. apne pc ya kisi aur pc pe try karne se pahle ek virtual os install karke try kare.


9. Learn Cryptography

Hacking ke field me sabse important aur hard task hai password cracking. is password cracking ki puri process ko cryptography kahte hai.

Password alag alag types ke hote hai. aur unka tod bhi alag alag hota hai. so agar perfect password cracking sikhna hai cryptography puri tarah se sikh le.


10. Participate In Hacking Challenges

Thodi bahot hacking sikhne ke baad agar aap apni hacking knowledge ko test ya improve karna chahte hai to aap hacking challenges try kar sakte ho. internet pe ek website hai hack this site ispe aapko free me hacking skill check karne ka mauka milta hai.

Iske siwa aap dusri site google pe search karke hacking challenges try karke apna hacking skill improve kar sakte ho.


Must Read : Top 10 Programming Language Ki Puri Jankari In Hindi

How Learn Hacking ( Hacking Kaise Sikhe ) Full Guide Hindi Is Hacking Related Hamari Post Ko Pura Padhne Ke Liye Aap Ka Dhanyawad. Hacking And Computer Security Ke Bare Me Latest News Aur New Technique Ke Bare Me Janne Ke Hamare Blog Ko Subscribe Kare.


Agar Aapko Ye Post Useful Lage To Ise Share Karna Na Bhule.